kabhi kartay thay baatain subh-o-shaam
ab to dekhnay ki bhi bisa'at nahin hoti
umar kat jaay gi yun hi pyaaray
dosti nibhanay ki ye adaat nahin hotein
rehta hun pyaasa teri rafaaqat ka
naam liay bagher din ki shuruaat nahin hoti
di hai allah ne tujhay izzat
per yaari ki yeh soghaat nahin hoti
hum kartay hain izhar-e-dilagi aksar
aankhain raat bhar hisaar nahin hotein
ab poochun mein tum se ay zalim
kya dil mein teray puchhaar[tarap] nahin hoti?
Sunday, March 30, 2008
poetry !!!! by me
aksar hum khuda se faryaad kartay hain
keh hazaar saal jiyaay wo jisay hum pyaar kartay hain
mohabat kam ho na kabhi hamari
unsay jo dilon ka shikaar kartay hain
beqaraar rehtay hain din-o-raat
bus dil ko isi per taiyaar kartay hain
batla sakain unko kesay
ke kitna unsay pyaar kartay hain !!!!!
jab hum unse ishq ka izhar kartay hain
de daingay jaan yahi iqraar kartay hain
wo kehtay hain hum aap se pyaar kartay hain
Na hi in baaton se sarokaar rakhtay hain!!!
dost kehtay thay jisay bachpan mein
khyalon mein us ka deedar kartay hain
ghalti se jo keh bethay mohabat hai tumse
ab khwaab bhi hamain pareshaan kartay hain
tamanna hai phir dekhun unhain kahin teheltay huay
phir usi bachpanay ko yaad kartay hain !!!!
haan suni hain hum ne kai kahaniyaan
per dil se jissay beyaan kartay hain
ungliyaan utha utha kar log usper
hamain kitna pash-e-maan kartay hain
lo aaj ishq-e-tarar se keh duun jiggar
jaan se barh kar hum usay pyaar kartay hain !!!

Sunday, March 9, 2008
pot painting
Subscribe to:
Posts (Atom)